Tumhare sapno ka mahal
tut n jaye darta hun,
Tu kahin meri aahat se
jag n jaye darta hun,
Jindagi mili magar
door door jine se darta hun,
Koi hamara kabhi ruth
n jaye darta hun,
Sapno men jine vale
sachchai se kya lena dena,
Log jite hain bhala
kaise hamse kya lena dena,
Apni jami hai apna
gagan hai kisi se kya lena dena,
Baharen aati hain jati
hain chaman ko kya lena dena,
Har maousam hai pyar
ka mausam man kahta hai,
Bhulun saari rashmen,
kshmen, vade dil kahta hai,
Pyar ki khushbu faile
sare jivan men yesa voh kahti hai,
main bhi tere sath
chalun janam janammeri muraden kahti hain.
No comments:
Post a Comment