Saturday, July 6, 2013

Pyar ki yahi pahchaan hai,

Pyar ki yahi pahchaan hai,

Jab daaman pedon se uljhne lage,
Saansen achanak tej chanlne lagen,
Dhadkane aape se baahar hoone lage,
Har aahat pe badan kaanpne lage,
Pair dagmag dagmag padne lage,
Aankhen chanchal ho kar dekhen, Pyar ki yahi pahchaan hai,

Apne men hii hardam khoye khoye rahna,
Baalon ka chehrepar lahrana ruk ruk kar,
Kaajal ka aankhon men rukna bahana,
Mathe se paseena ludhak kar bindiya hanta,
Kanon se aahten  samajh men  n aana,
Har taraf kisi ka saye ki aahat lagna, Pyar ki yahi pahchaan hai

Sakhiyo se doorii rakhne ko man karna,
Aapne baton par bhi visvaas na rahna,
Longon ko sak ki najron se hardam dekhna,
Kisi anjaan ki chaahat ka man ko ehsaas lage,
Saathi ki chaahat men man udas lage,
Koi paas bulake,balon par fere haath,
Seene kii dhadkan ko choome  pyas, Pyar ki yahi pahchaan hai

To jano pyar ki kalii khilne walii hai,
Mausam baharon ka aane wala hai,
Jeewan men pariwartan hone wala hai,
Koi jeewan men apna sa lagne wala hai,
Dhar ka aangan chhota hone wala hai,
Mehmaan koi dil men rahne wala hai,

Pyar ki yahi pahchaan hai, Pyar ki yahi pahchaan hai…

No comments:

Post a Comment